ITI course ki puri jankari Hindi me

Hello Friends aap ITI ke baare me to jante honge, Nahi to chaliye koi baat nahi aaj hum is post “ITI course ki puri jankari Hindi me” me ITI se related puri jankari prapt karne ja rahe hai. I hope yah post aapke ITI me admission lene ke dauran hone wale confusion ko dur karege.

ITI course ki puri jankari Hindi me

[adinserter block=”11″]

Aaj hamare desh me education ka level bad raha hai Jiske kaaran hamare desh ke kai students Desh videsh me acchi post par kaam karke apna or desh ka naam kama rahe hai. Par kya ye jaruri hai ki har student Engineer, Doctor, CA ya Businessmen bane. Nahi na kuch kaam aise hote hai jo Na to koi Engineer kar sakta hai or Naa hee Doctor Uske liye Alag se us training ki jarurat hoti hai or vah kaam hote hai Jaise : Carpenter, Electrician, Automobile aadi. To isi tarah ke course hote hai ITI me.

ITI kya hai

ITI yani Industrial training institute (ओद्योगिक प्रशिक्षण संस्था) ek aisa institute hai jo alag alag field me aise course karata hai jisse karne ke baad Aasani se job mil jaati hai. ITI ke kai rojgar dilane wale aise course hai jo aap 8th ya 10th ke baad bhi kar sakte hai. Is tarah ke course karne ke liye naa to jyada kitabi gyan ki or na hee englishi ki jarurat hoti hai jo Hindi madhyam ke chatro ki badi kamjori hoti hai. ITI course ki puri jankari Hindi me

ITI course ki puri jankari Hindi me

[adinserter block=”11″]

ITI kab or kon kar sakta hai

ITI kisi ek trade me nahi hota uske liye kai saare vikalp hote hai kintu ye nirbhar karta hai aapke area ke ITI me ki vaha par kon konse trade available hai. Aap apne area me available ITI ki jankari nikalne ke baad nirnay le sakte hai ki kis trade me aapka interest hai. or manlo ki aapko kisi particulate trade me  ITI karna hai jo aapke area me available nahi hai to aap aapke area ke ITI me jakar pata kar sakte hai ki vo trade jo aapko pasand hai kaha available hai. fir us hisab se apna plan banaye ki vaha jakar ITI karna hai ya nahi.

हमारी यह पोस्ट भी पड़ें 

[adinserter block=”11″]

ITI ke baad Job kaha or kaise lagti hai

ITI karne ke baad aapko ITI dwara he sambandhit vibhag ya company me internship ke liye bhej diya jata hai. Lagbhag 1 Year ki internship ke baad aapka kaam pasand aane par usi company me aapko Job mil jati hai. aur kuch hee dino ke experience ke baad aapki salary bhi bada de jati hai.

To agar aap bhi ITI karne ka vichar kar rahe hai to chaliye jante hai ITI ke vibhinn course or unke future scope ke baare me Hamari agli post ITI ke top 20 course or unke scope me.

ITI ke top 20 course evm unke scope

To dosto aapko yah post “ITI course ki puri jankari Hindi me” kaise lagi hume comment karke jarur bataye taki hum or behtar post likh sake. Aap career sambandhi koi bhi question humse comment karke puch sakte hai.