Bank clerk PO kaise bane

Bank clerk PO kaise bane is post me mai aapko aaj banking related jobs ke baare me batane ja raha hu aap is post me padenge ki bank me job karne ke liye kya padna padta hai, bank ki naukri ke liye kaha aavedan karna hota hai or bank clerk ya po ki exam kab hoti hai, bank me selection ki kya process hai aadi question ka javab aapko is post me milega to chaliye shuru karte hai or jante hai ki kya ha process.

Bank clerk PO kaise bane

[adinserter block=”11″]

Bank clerk kya hota hai

Kisi bhi bank me front counter ya cash counter par baitha vyakti clerk (लिपिक) hota hai. Bank me bahut se kaam hote hai jaise paise ka lenden, Loan, Insurance, Account statement or Passbook, RTGS, NEFT aadi tarah ke kary hote hai. Adhiktar banko me clerk yah kaam karta hai or Officer use authorize karta hai. is tarah se koi bhi kaam pahle bank clerk ke paas jaata hai fir vo uski computer entry karke officer/PO ko forward kar deta hai jise officer authorize karta hai.

Bank clerk ki timing and salary kya hai

Nationalize banks me clerk ka timing labhag 7 Hours ka hota hai jo Subah 10:30 se 5:30 tak ho sakta hai. iske alava unhe Week me 4 Sunday or Second or fourth Saturday ka bhi holiday milta hai.  Nationalize banks me clerk ki salary shuruaat me Basic 11765 + DA + other allowance total lagbhag 20,000 hoti hai.

Bank clerk kaise bante hai.

[adinserter block=”12″]

Bank me clerk banne ke liye aapko sabse pahle aapka graduation pura karna hota hai. aap kisi bhi subject me graduation karne ke baad bank clerk ke liye eligible ho jate hai. graduation ho jane ke baad aap IBPS clerk ki exam de sakte ho jo pichle kuch varsho se lagatar ho rahi hai. IBPS clerk CWE Pre and mains nikalne ke baad aapko joining date de di jati hai kuch banko me direct joining mil jati hai to kuch banko me 15Days se 1 Month ki training ke baad joining de jaati hai.

[adinserter block=”13″]

Bank PO kya hota hai

PO matlab Probationary officer Jaisa ki aapne upar pada ki bank me clerk kisi bhi work ko computer me post karta hai or use officer use authorize karta hai to jo authorize kata hai vah vyakti PO kahlata hai. vais bank me kisi bhi vyakti ko PO ke naam se nahi jaana jaata hai officer ya dy manager /asst manager ke naam se jana jaata hai chuki officer joining date se kuch samay tak probation period par rahta hai isliye use probationary officer PO kahte hai. Bank clerk PO kaise bane

Bank PO ki salary and timing

Bank PO ki timing clerk se thodi jyada ho sakti hai kai bank ki badi brancho me der tak bank khulne tak ya kaam pura nahi hone tak PO ko branch me rukna padta hai. or PO ki salary clerk se jyada hoti hai shuruaat me he lagbhag 40,000 salary hoti hai or iske saath saath any kai suvidha bank PO ko milti hai.

[adinserter block=”11″]

Bank clerk PO kaise bane

Bank PO banne ke liye kya kare

Bank me PO banne ke liye aapko Graduation ke baad IBPS PO ki pre or mains clear karna hoti hai clerk ke comparison me PO ki exam thodi mushkil hoti hai kintu ise bhi thodi mehnat karke nikala ja sakta hai. Ye dono exam clear karne ke baad aapko Interview ke liye bulaya jata hai interview me select hue candidate ko bank bank allot ki jati hai or fir use training dekar bank me joining ke liye bhej diya jaata hai.

Bank clerk PO kaise bane Yah post kaise lagi aapko comment ke madhyam se hume jarur bataye or koi bhi saval ka javab chahte hai to humse comment ke madhyam se sampark kare.