Chartered Accountant CA banne ke liye kya kare

Kya aap Jante hai ki CA kya hota hai or uske kya kaam hote hai,Chaliye aaj hum is post me CA yani Chartered Accountant se related jankari prapt karte hai ki Chartered Accountant CA banne ke liye kya kare hindi me, kaunsa subject le kab exam hoti hai aadi jankari hum yaha prapt karenge in our Post How to become CA.

CA (Chartered Accountant) banne ki jankari dene se pahle main aapko yah batana chahunga ki CA kya hai or CA ke kary kya hote hai.

[adinserter block=”11″]

CA kya hota hai

CA yani Chartered accountant vah hota hai jo Logo ko financial guide karne se lekar financial advice, Business accounting, Bank Audit, tax planning aadi aise kary karta hai jo financial sector se jude hote hai kisi bhi company ka tax return karna balance sheet banana aadi kary CA ke hote hai. CA ek bahut acchi post hoti hai ek Chartered Accountant ka status kisi Doctor ya engineer se kam nahi hota hai.  

CA banne se kya hota hai

CA banne se aapko CA ki degree mil jati hai jise aap kisi badi company ya firm me kisi acchi salary par kaam kar sakte hai ya khud ki firm khol kar logo ko advice jaise tex, property, accounting dekh sakte hai. Agar aap CA ban jate ha jo etna hai ki aapko kaam dhundhna nahi padta hamare desh me etni company firm, office hai or har jagah accounting or tex ka kaam to hota hee hai jiske requirement CA puri karta hai.

[adinserter block=”12″]

Chartered Accountant CA banne ke liye kya kare

Chartered Accountant CA banne ke liye kya kare Hindi tips

CA banna mushkil to hai kintu na mumkin to kuch bhi nahi hota to yah bhi nahi hai, Agar aapko Accounting ki acchi samajh hai or isme aapki mastery hai to aap CA ban sakte hai. CA Banne ke liye badi lambi process se gujarna hota hai jisme kai saal lag jaate hai. Agar aapko CA banna hai to aap 10th ke baad hee apna laksh banakar uski or aage bad sakte hai.

Institute of Chartered Accountants of India

Institute of Chartered Accountants of India he ek matr aisa institute hai jo CA course offer karta hai aapko CA certification yahi se prapt hota hai.  

CPT Registration and pass kare

[adinserter block=”13″]

Stage 1 : CA banne ke liye aapko 10th Class acche no. se paas karne ke baad CPT ke liye register karna hota hai. CPT ka registration 10th ke baad hota hai kintu iski Exam 12th ke baad hoti hai iske liye aaka 12th Commerce 50% se jyada hona chahiye .

Stage 2 : 12th ho jane ke baad students ko Institute for Common Proficiency Test (CPT) ke liye prepare hona hota hai or yah exam paas karana hota hai. yah exam clear karne ke baad agli process hoti hai.

IPCC Registration and pass karen

Stage 3 : IPCC yani Integrated Professional Competence Course register karne ke pahle students ko 12th or CPT dono paas karna jaruri hoti hai. agar ye dono ho gai hai to IPCC ke liye register kare.

Stage 4 : IPCC ke 2 Group hote hai Group I and Group II Group I me 4 paper hote hai jabki Group II me 3 commencing Articleshipe ke liye Group I clear hona avashyak hota hai. (Dono Paper Group I and Group II clear karna chahiye)

[adinserter block=”11″]

ITT and Orientation

Stage 5 : ITT yani  Information Technology Training ki training 100 Hours pure kare (Iski evm Orientation ki details me jankari aapko CA karte vakt website par mil jayegi )

Register for Article-ship

Stage 6: Articleship ke liye register kare 3 year ke liye or Practicing kare Chartered Accountant ki. IPCC Group I ya Dono Group I and Group II ke baad me.

Register for C A Final Course

Stage 7:  3 Year ki articleship ke last 6 month me CA final ki exam de saath hee saath articleship complete kare.

Stage 8 : General Management and Communication Skills yah ek 15 Days ka course hota hai jiski detail bhi aapko exam ke time mil jayegi. yah clear kare.

Stage 9 : CA ka final exam paas kare.

Stage 10 : Ab aapko ICAI me as a member enroll karna hota hai as a Chartered Accountant.

  • this post is based on internet

To yah thi CA banne ki process. Yah post “Chartered Accountant CA banne ke liye kya kare” aapko kaise lagi hume jarur bataye hum hamari agli post me janege ki Graduation ke baad CA kaise bane ya Bina CPT diye CA banne ka tarika. So if you like this post do share and comment so that we can write more batter post for you. Chartered Accountant CA banne ke liye kya kare