Engineer kaise bane B.E. karne ke liye kya kare
Aaj ki hamari is post “Engineer kaise bane B.E. karne ke liye kya kare” mai main aapko batane ja raha hu ki ek Engineer banne ke liye kya karna padta hai or konsi entrance exam dekar engineer ban sakte hai. Dosto agar aap Engineer banna chahte hai to aapko yah post jarur padna chahiye yaha hum detail me bata rahe hai BE ya engineering ke baare me.
Engineer banne ke liye aapko yah decide karna hoga ki aap kis field me jaana chahte hai ya kis engineering me konsi branch lena chahte hai kyoki BE kisi ek field me nahi hota jab aap BE karne ke liye Aavedan karoge to aapko Branch choose karna padegi aaiye jante hai konsi branch me kya hota hai. Engineer kaise bane B.E. karne ke liye kya kare
BE details in Hindi
[adinserter block=”11″]
BE in Computer Science : Agar aapka interest computer me hai to aap BE computer science le sakte ho isme aapko computer ki puri jankari padne ko milegi Jaise Software, Hardware, Programming aadi. BE computer science karne ke baad aap as a software engineer ke roop me pahchan bana paoge. is field me aaj ki date me sabse jyada demands hoti hai adhiktar students isi branch ko choose karna chahte hai. Par aap aisa naa kare aap apne interest ke aadahr par branch choose kare.
BE in Mechanical : Vaise to BE ki har branch acchi hoti hai kintu har ek ka apna alag he mahatv hota hai vaise hee machinal branch ka bhi apna alag he mahatv hai Agar aap Machinical field me jana chahte hai to yah branch le sakte hai. Machinacial branch me aap vibhinn prakaar ke subject padege Jo machinisom se jude hote hai jaise. Aap is field me BE karke badi badi Automobile company, Railway, Air India, aadi me job kar sakte hai.
BE in Electronic : Electronic field me career banana chahte hai to aap BE electronics le sakte hai yah field aapko aapke Electronics engineer banne ke sapne ko pura kar sakti hai. Jaise jaise electronics devices ka use badta ja raha hai vaise vaise is field me engineers ki demands bhi bad rahi hai. to yah ek bahut accha scop ho sakta hai aapke liye.
[adinserter block=”12″]
BE in Civil Engineering : Civil engineering ek bahut accha scop ho sakta hai agar aapka interest designing me hia, Is field se engineering karke ke baad aap ek civil engineer ke roop me koi acchi job kar sakte hai ya Khud ka business start kar sakte hai. Ek civil engineer ke kaam Makan, Road, Bangle, Bridge, ya kioi alishan imarat banana unki planing karna hota hai.
BE in Chemical engineering : Agar aapko biology me interest hai or aapne 12th me PCM ke saath saath Biology bhi pada hai to aap is field me ja sakte hai. is field me engineering karke aap ek chemical engineer ban sakte hai jo kai tarah ke subject me hoti hai jaise biochemical engineering, Corrosion engineering, Materials engineering aadi.
Is tarah or bhi kuch branchess hoti hai BE ki par upar batai gai Main branchess hai ab aapko design lena hai ki aapko kis field me jaana hai. or yah design aap jitna jalde le le aapke liye utna hee accha hoga. Engineer kaise bane B.E. karne ke liye kya kare
[adinserter block=”11″]
10th ke baad konsa subject chune engineering ke liye
Agar aap ek engineer banna chahte hai to aapko 10th class ke baad hee apni ranniti banana hogi kyoki 11th me Subject Selection hee Engineering ki firs step hoti hai. so Agar aap Dasvi paas hai or aae engineering me career banana chahte hai to 11th Class me Physics, Chemistry or Mathematics Subject ka chunav karna hoga.
BE ke liye konsa entrance exam best hai
Vaise to kai states apne yaha par Engineering me admission ke liye entrance exam lete jo aap de sakte hai
Yah bhi Pade: Web Developer kaise bane | Software engineer kaise bane
[adinserter block=”13″]
National Level exam BE ke liye
JEE Main | JEE Advance |
AIEEE | BITSAT |
NAT | VITEEE |
BITSAT | VITEEE |
ENAT | VITEEE |
PACET | ATIT |
NAT | ISAT |
NEAT | NATA |
AMIE | WAT |
State Level exam BE ke liye
MP PET | UPSEE |
Assam JAT | CENTAC JET |
TNEA | KEAM |
COMEDK | Karnataka PGCET |
MHTCET | KCET |
BPEE CET | Bihar CET |
Punjab CET | KRLMPCA CET |
CPET | Orissa JEE |
WB JEE | IPU CET |
RPET | PJET |
Engineer kaise bane B.E. karne ke liye kya kare
Inke alava kuch university apne yaha par admission dene ke liye bhi Entrance exam leti hai.
Upar Batai gai entrance exam dekar aap BE me admission le sakte hai. Engineer kaise bane B.E. karne ke liye kya kare
हमारी यह पोस्ट पड़ना ना भूलें
JEE mains or JEE advance Jankari Hindi me
[adinserter block=”11″]
2013 se Prarambh JEE Mains Desh ke jaane mane colleges jaise NIT, IIT aadi me admission lene ke dee jaati hai, Isi Exam ke score se kuch State jo Apne yaha entrance exam nahi lete hai vah Admission de dete hai. Iske baad dusra charan hota hai JEE Advance ka Jisme ve students participant kar sakte hai jo JEE Clear kar chuke hai. JEE Advance clear karne ke baad Students ko IIT jaise colleges me admission milta hai.
To abtak humne jana ki Ek engineer banne ke liye kya karna padta hai or Engineering ya BE kin kin fields me hoti hai. Hume ummid hai aapko yah article pasand aaya hoga. Is tarah ke or article padne ke liye aate rahe careerinhindi.com par. Is post se jude kisi bhi saval ke liye comment kare. Engineer kaise bane BE karne ke liye kya kare
Mustkim khan
4th September 2016 @ 4:31 pm
Sir, mere 10th mai 76% marks hai kya me 11th me pcm le sakta hu
Mustkim khan
4th September 2016 @ 4:33 pm
Sir, mere 10th me 76% marks hai kya me 11th me pcm le sakta hu
Gaorav lawtre
2nd October 2016 @ 11:36 pm
Sir mai bio 12th ka student hu kya mai aage (be or computer science) softwear enginearinh ka study ker skta hu .and kaon sa sub lu ?
Dhiraj Tamboli
4th October 2016 @ 1:30 am
Sir mere 10th main 65% hai kya main direct 12th main pcm le sakta hu.
Sumit Sharma
4th October 2016 @ 4:18 am
Ha jarur kyo nahi le sakte
mohit
26th March 2017 @ 6:25 pm
Engineering karni he
Ankit sharma
6th April 2017 @ 11:38 am
SIr, mene 2015 me pcm se 12th ki he jisme mere 71% bani he ,uske baad mene study chhod di thi kuchh problem ki wajah se ,muje aerospace engineer bnna he muje kya karna hoga please muje iske baare me btakar help kare
Rajveer Sharma
6th April 2017 @ 4:24 pm
aapko sabse pahle entrance exam dena hogi engineering ke liye.
Anuj kumar
29th July 2017 @ 3:36 pm
Sir my name anuj kya mai pcb se 12 kar raha hun kya main computer engineering kar sakta hu
Rajveer Sharma
29th July 2017 @ 6:28 pm
Nahi anju aapko PCM se 12th karna hogi iske liye
Nidhi Gupta
19th August 2017 @ 6:01 am
Sir, Mera Naam Nidhi Gupta h
Mere 12th me 61% h Kya me be ker sakti hu Meri branch cs h
Rajveer Sharma
20th August 2017 @ 3:41 pm
Agar aapne 12th PCM se ki hai to aap jarur kar sakti hai.
nikhil
20th August 2017 @ 3:26 pm
Sir kya me 12th arts me baad phir she science padh Santa hu
Rajveer Sharma
20th August 2017 @ 3:36 pm
Ha aapko 12th dobara karna hogi with science subject
यूपी पुलिस में कांस्टेबल (UP Police Constable) कैसे बने ? - Career in Hindi
11th October 2020 @ 8:39 am
[…] Engineer कैसे बनें ? […]
टाटा समूह (TATA Group) में करियर - Career in Hindi %
29th October 2020 @ 7:22 am
[…] Engineer कैसे बनें ? […]