ITI ke top 20 course evm unke scope

नोट : आप यह पोस्ट हिन्दी फॉण्ट में भी पढ़ सकते हैं यहाँ क्लिक करें  : Jaisa ki aapne hamari pichli post “ITI course ki puri jankari ITI ke baare me bahut kuch pada agar aapne yah post nahi padi to ek baar avashy pade. Aaj hum is post me baat karne ja rahe hai ITI ke top 20 course evm unke scope ke baare me. I hope ye ITI ke in course ki details aapko pasand aayegi.

ITI ke sabhi course pure focus ke saath complete karaye jate hai aisa nahi hai ki aapne jis trade ke liye admission liye hai uski 1 – 2 hour ki class lagegi. Balki ITI ka timing kafi jyada hota hai or vah par practical par jyada focus kiya jata hai. saath hee saath other subjects par bhi aapki pakad majbut karai jati hai, to is hisab se ITI karne ka aapka vichar sahi sabit ho sakta hai.

[adinserter block=”11″]

top20

ITI ke top 20 course evm unke scope

Computer Operator and Programming Assistant me ITI

Computer Operator and Programming Assistant ek aisa course hai jo aap 10th ke baad kar sakte hai Is course me aapko Computer se judi bahut see jankari sikhne ko milegi Jisse aap ek Safal computer operator ban sakte hai or is course me aapko basic computer programming bhi parichay karaya jayega. Yah course sirf 1 year ka hota hai. to agar aap koi diploma like DCA, ADCA aadi karne ke baare me vichar kar rahe hai to usse behtar ITI ka yah course hoga.

Scope : Is trade me ITI karne ke baad aap kisi bhi department me as a computer operator ke taur par job prapt kar sakte hai.

[adinserter block=”13″]

D T P Operator me ITI

DTP operator yani Desk Top Publishing Operator is course me aapko DTP work jaise ki Photo editing, Document, Video, banner aadi banana sikhaya jata hai yah course bhi 1 year ka hota hai or iske liye minimum qualification bhi 10th paas hona jaruri hai.

Scope :  DTP operator me ITI karne ke baad aapko print media jaise news paper, Printing press, TV aadi me job mil sakti hai. ya aap khud ka DTP work bhi start kar sakte hai.

Stenography Shorthand me ITI

Stenography ek aise lipi hai jisme kisi vyakti ke bolne ki gati se likha ja sakte hai. Pradhan mantri Bhashan de rahe hai or kuch log use likhte jate hai use hee shorthand ya stenography kahte hai. aapko 1 year yahis sikhaya jata hai or iski khub practice karai jati hai.

Scope : Is field me ITI karne ke baad aap Govt ke kai department jaise court, Police, Mantralay, Railway aadi me job kar sakte hai.

[adinserter block=”12″]

Interior Decoration and Designing me ITI

ITI ka yah course aapko Interior decoration and designing aapko behtar tarike se Interior decoration karna sikhata hai jo ek accha profession ho sakta ahi. Visheshkar girls ke liye yah sahi selection ho sakta hai.

Scope : is field me ITI karne ke baad aap kisi Bade interior designer ke assistant ke tour par kaam kar sakte hai ya apna khud ka business start kar sakte hai.

हमारी यह पोस्ट पड़ना ना भूलें

Electrician me ITI

1 se 2 year ke is course ki bahut jyada demands hoti hai aap Electrician me ITI karne ke baad is field me etne expert ho jate hai jitna aap bahar kisi shope par isse jyada time me bhi nahi ho sakte this is very good trade of ITI.

Scope: Electrician ki demands har jagah hoti hai, aap bhi ITI karne ke baad kisi company me as a electrician ke post par kaam kar sakte hai.

Wireman me ITI

Electrician ki tarah he Wireman  ki bhi bahut demands hoti hai aap isko 8th ke baad kar sakte hai.

Electrical Maintenance me ITI

Electrical maintenance ke is 2 year ke course me aap Bahut kuch sikhte hai electrical ke baare me yah ek aisa course hia jiski demands har jagah hoti hai.

Scope : Kisi bhi badi company me as a Electrical ke taur par kaam kar sakte hai ya apna business start kar sakte hai.

[adinserter block=”11″]

Plumber trade me ITI

2 se 3 year ke is Plumber course ki kaafi demands hai agar aap yah course complete karte hai. Aapko rojgar khone ki jarurat nahi padti .

Scope : is field me ITI karne ke baad aap Govt ke sichai vibhag, Nahar pariyojna aadi jaise vibhago ya private compny me job kar sakte hai ya khud ka work bhi start karke acche paise kama sakte hai.

Machinist me ITI

Machinist me ITI karenge to aap Lath machine or any machino par job work karna sikhenge jo ek bahut he demanding course hai. aap is course ko karne ke baad har tarah ki machine ko operate kar sakte hai . Yah course 2 year ka hota hai or isme aapko 10th paas hona jaruri hai. ITI ke top 20 course evm unke scope

Scope : kisi bhi factory me as a machinist ke taur par kaam kar sakte hia.

Mechanic Machine Tools Maintenance me ITI

Mechanic Machine tools Maintenance ka yah course aapko sikhata hai ki machine me kab or kya problem aa sakte hai use repair kaise kiya jata hai.  10th pass students ise kar sakte hai. yah 2 year ka hota hai.

Scope : Har badi company me jaha machineo par jyada work hota hai vaha par yah post hoti hai.

Mechanic Computer Hardware me ITI

Technology se related yah course aapko sikhata hai ki machino se kaise kaam liya jata hai. yah course technical hota hai to agar aapko technical field me jana hai to yah course kar sakte hai. minimum 10th paas hona jaruri hai is course ke liye or yah 2 se 3 year ka hota hai.

Scope : is field me bahut scope hai agar aap successful yah course kar lete hai to High salary par kaam mil jayega.

Carpenter me ITI

2 Year ke is course ko karne ke dauran aap Lakdi se bane saaman jaise Bed, Sofa, Darwaje, Khidki, aadi banana sikhte hai jiski jarurat har kisi ko padti hai to yah ek best option ho sakta hai.

Scope : is course ko karne ke baaad aap kisi bade carpenter ke yah kaam karne ke alava Apna business bhi start kar sakte hai.

Advanced Welding me ITI

Welding me ITI karne ke liye aapko 8th paas hona avashyak hai is trade me ITI karne ke baad welding se related saare kaam aap sikh jate hai.

Scope : is field me job bhi bahut hai or aap khud ki welding shope bhi open kar sakte hai.

[adinserter block=”11″]

Mason Building Constructor

Mason Building constructor me aap building banane se related kaam sikhte hai, is field me ITI karne ke baad kisi bade engineer ya contractor ke saath kaam karke accha paisa kama sakte ho.

Mechanic Refrigeration and Air Conditioner

Mechanic refrigeration and air conditioner ke is course me aap Regrigeration aur AC ko repair karna sikh sakte hai yah bahut demand mai hai kyoki aajkal har koi inka use kar raha hai.

Scope : I field me ITI karne ke baad aap acchi job pa sakte hai ya khud ki repairing shop open kar sakte hai.

Welder Gas and Electric me ITI

Welding bhi kai tarah hi hoti hai jo is course me aapko padne ko milegi, aap is course Welder Gas and Electric me ITI karke ek badiya job pa sakte hai. ITI ke top 20 course evm unke scope

Mechanic Motor Vehicle

2 Year ke is course me aap motercycle se lekar chote mote vehicle ko repair karna sikh sakte hai. ya course bhi ek bahut demanding course hai.

Scope : kisi automobile company me job ya khud ka garage open kar sakte hai.

Mechanic Diesel

Mechanic Diesel ke is course me aap bahut aage ja sakte hai har automobile company me is tarah ki post hoti hai or accha salary package bhi hota hai yah course 1 year ka hota hai. minimum 8th paas jaruri hai iske liye.

Scope : Is field me jyada demand hone ke kaaran aapka choti company se shuruaat karke badi company jaise TATA, Maruti, Mahindra tak me job karne ka mauka paa sakte hai. ITI ke top 20 course evm unke scope

Mechanic Radio and Television

10th paas students ke liye yah ek best option hai is course me 2 year lagte hai jisme TV Radio or any electronic device ke baare me bataya jata hai.

[adinserter block=”13″]

Scope : Aaap khud ki shop open kar sakte hai ya kahi job bhi. ITI ke top 20 course evm unke scope

Cutting and Sewing

Yah course 8th paas students kar sakte hai isme har tarah ki silai evm katai sikhai jati hai.

Scope : is field me ITI karne ke baad rojgar aasani se mil jata hai kyoki kapda udhyog hamare desh me bahut teji se fail raha hai.

Inke alava bhi kai course hai jo aapko aasani se rojgar dila sakte hai. Jaise Fitter, Turner, Book Binder,  Painter, Arcitecher, driver etc. jineme bahut scope hai aap kar sakte hia.

आईटीआई की अधिक जानकारी के लिए यह पोस्ट जरुर पढ़ें |

ITI course ki puri jankari Hindi me

Aapko yah post ITI ke top 20 course evm unke scope kaise lagi hume comment me jarur bataye or pasand aaye to apne dosto me share bhi kare.