Musician ya singer kaise bane
Hello friends welcome to careerinhindi.com Aaj hum baat karne ja rahe hai Musician ya singer kaise bane kaise bane is vishay par. Pichle kuch dino se kai logo ne mujhse is tarah ka saval kiya to aaj yah post likhne ke prerna mujhe mili to chaliye jante hai kya hai music industry or isme career ki kya sambhavna hai.
Shuru karne se pahle mai aap logon ko bata dena chahta hun ki music koi course nahi hai jise aap kisi school ya college me jakar sikh jaye yah ek art hai. agar aap ek safal musician ya singer banna chahte hai to aapko iske liye music ko apne bhitar khojna hoga. yadi aapko lagta hai ki aap is field me kuch kar payenge tabhi aapko yah industry me kadam rakhna chahiye.
Musician ya singer kaise bane
Kuch log sochte hai ki music industry me bahut Naam, Shohrat or Paisa hai to yahi try karna chahiye to vo bilkul galat hai aap sirf paisa ya naam kamane ke liye music se nahi jud sakte. Music se judne ke liye aapka lagav dil se hona chahiye music ke liye.
Kaha sikhe music
Music sikhna jitna jaldi shuru kiya jaye utna hee behtar hota hai agar aap bachpan se hee music sikhonge to aapko sur, taal aadi ko bariki se samajh paoge. To yadi aapke shahar me koi Music class ya koi any sanstah hai jo prarambhik music sikhata hai to aap use join kar sakte hai Kuch mahino baad aapka result aapko dikhai dega ab jakar aapko lagta hai ki aap is industry me kuch kar sakte hai tab koi aage kadam badhaye.
Yah post bhi pade
Music ya singing ke liye Course
Vaise to ek musician ke liye koi specific course compulsory nahi hai fir bhi yadi use music ki thodi bhi samajh hai or jaisa ki maine upar bataya ki aapka lagav music se bahut gahra hona chahiye or yadi vo hai to Music se related in course me admission le sakte hai. Ye nirbhar karta hai aapke education par ki abhi aap kis level par hain.
10th ke baad Music course:
- Certificate in Music
- Diploma in Music
- Certificate in instrument
12th ke baad Music course
- Bachelor of Music (B. Music)
- BA in Music
- BA (Hon) Music
- BA (Hon) Shastriy Sangit, classical music
Graduation ke baad Music course
- Master of Music (M. Music)
- MA in Music
- M.Phil Music
Post Graduation ke baad music cours
- Ph.D in Music
or bhi kai course hai jo aap desh ke kai jane-mane music college jaise :
- IPS Academy ( School of Fine Arts and Music, Indore)
- Bhartiy Sangeet Mahavidhyalay, Gwalior
- University of Mumbai (Department of Music)
- Bengal Music College , Kolkata
- Allahabad University (Music and Arts)
- Devi Ahilya Vishwvidhyalay Indore
evm any kai pratisthit colleges se kar sakte hai.
Music ke liye Self Practice bhi bahut jaruri hai music ke liye to uske liye aap internet ki madad ya apne instrument par apne free time me practice bhi karte rahe aapke liye jaruri hoga. jitna jyada aap practice karoge utni he perfection aapme aayege or utna he accha hoga aapke career ke liye.
Doston yah post Musician ya singer kaise bane or (How to become a musician in Hindi) aapko kaise lagi hume jarur bataye or pasand aaye to apne dosto me share bhi kare. Is tarah ki any post pane ke liye login kare ya hamara Facebook Page like kare.
7th November 2016 @ 2:14 am
क्या म्यूजिक और सिंगिंग सिखना जरुरी हैं ? मै online ये सब कैसे सिख सकता हूं? Please reply
7th November 2016 @ 2:19 am
ये तो आप पर निर्भर करता है आप सिखना चाहते है या नहीं ओर हाँ इसे ऑनलाइन सीखने से बेहतर होगा कि आप कही म्यूज़िक क्लास जाईन कर लें।
30th July 2017 @ 1:24 am
Me gala bahut acha hai lekin mujhe gana likhane nahi aata hai ki kaise likhu
25th January 2017 @ 5:08 pm
Mujhe music bhot pasand hai
Me abhi 16 years ka hu
Mujhe is field me carier bana hai
To Mujhe kya kya sikhna chaiye
30th January 2017 @ 6:46 am
Nice. Knowledge ,,,,
10th February 2017 @ 3:34 pm
singer and actor banana hai harish sonkar 9th up gonda 9129500577
27th February 2017 @ 10:13 pm
Mai 21 saal ka hu.mujhe singing me bahot jyada interest h .mujhe hamesh se padhai or gaane me interest rha h par ab padhai me jra bhi man nhi lgta h hamesh mere juban p gana hi rhta h.mai singing sikhna chahta hu.ky ye faisla mere umar ke hisab jyda late h….reply pls
4th March 2017 @ 6:54 pm
I am ankita mishra I want make singer but I have no family support and money but I know that l am talented girl i want government college of vocal. i want invest my whole life to music how i get addmission in best institute to achieve my dreams please tell me
5th April 2017 @ 8:11 am
Hello sir
अभी सिंगिंग में कोई स्कोप हे या नही
Please Reply
6th April 2017 @ 4:33 pm
सिंगिंग में बहुत स्कोप हैं अर्पित |
20th April 2017 @ 6:55 pm
Sir i am rahul dhakad sir mai 18 saal ka hu singing mai interest hi
23rd April 2017 @ 1:13 am
Sir. mera name Neeraj Kumar hai aur mai 18 year ka hun aur mai singer banana chahta hun mera study me bilkul man nahi lagta to kya mai singer ban sakta hum.
30th April 2017 @ 12:32 pm
Muje v singer banna he
9th August 2017 @ 8:21 am
hiii sir me bhi singing karna chati me kya karu
23rd August 2017 @ 2:31 pm
Namastey Sir
I’m PRIYADARSHI
From (Bihar)
Sir like music
Mujhe Singing bahut pasand hai or Mai ek kaamyab singer banana chahta hoo
Meri problem ye nahi ki, “Mai Apne life me Singer hi banana chahta hu ”
Par problem ye hai ki apni career start kaha se or kaise Karu..Plz tell me
23rd August 2017 @ 5:43 pm
Priyadarshni Ji Aapse request hai ek baar is post ko dobara pade javab mil jayega.
6th December 2017 @ 2:30 pm
Hello sir mene apne khud ke song likhe he me ek singer bnana chahti hu to kya me ban sakti hu
25th October 2020 @ 10:19 pm
Sir mujhe apna sapna pura karna hai mujhe music bhaut pasand hai
25th October 2020 @ 11:37 pm
Best wishes for your Career.