Software engineer kaise bane

Software engineering kaise bane is post ke title se hee aap samajh gaye honge ki hum kis subject par baat kar rahe hai. hum yahan software engineer kaise bane is baare me baat karne ja rahe hain. software engineering karne ke liye 12th me konsa subject lena hota hai or konsi entrance exam dena hoti hain ye saari jankari aaj hum is post me padenge.

Software engineering kya hoti hai.

[adinserter block=”11″]

Software engineer yani jo software software banata hai, ab software bhi kai prakar ke hote hai abhi aap mobile ya pc me yah artical pad rahe hai yah bhi ek software hee hai ya isko banane ke liye bhi kisi software ka use kiya gaya hoga yani har taknik se judi chije aajkal software dwara he design ki jatii hai. aapko pata bhi nahi hoga lekin jo Tshirt aapne pahni hai vah bhi ek software se he design ki hui hai. to kahne ka matlab software kisi bhi tarah ka ho sakta hai bas usko banata software engineer he hain.

Kaise kare software engineering in hindi

Software engineer banne ke liye aapko computer me or jsse judi chijo ki samajh hona chahiye or sabse badi baad aapko is field me interest bhi hona chahiye. agar aapko aapke parents ya koi friends forcefully software engineer banne ko kahe to kadapi ha naa kare in logo ki baaton me aakar apko degree to mil sakti hai kintu aap ek safal software engineer nahi ban sakte. software engineer ko apne dimag me chal rahe kaam ko program ke roop me computer ko samjhana hota hai or yah ek bada mushkil kaam hota hai to please bina interest ke is baare me soche bhi nahi.

Software engineer kaise bane

[adinserter block=”13″]

software engineer kaise bane

Entrance exams for engineering

Engineering me admission ke liye aapko entrance exam dena hoti hai jo ki aap 12th ke baad de sakte hai jaise JEE JEE Main, JEE Advanced, AIEEE, NAT, GATE, aadi kai exam hoti hai jinse aap engineering me admission paa sakte hai. Yadi aap ek engineer banna chahte hai to aapko 12th Class me Physics, Chemistry and mathematics (PCM) ye tin subject lena padenge.

[adinserter block=”11″]

Software engineering ke kaary

Jaise ki main upar bata chuka hu ki ek software engineer ka main kaam software banana hai lekin uske alava ek software engineer ko any kaary bhi karna padte hai jaise Software testing, Software development, Database, Mobile Apps development aadi.

  • Programming : Computer ya Mobile ke liye jab koi software banate hai to vah programming me banaya jata hai jaise C, C++ Java, aadi yadi aap ek safal programmer banna chahte hai to kisi ek programming language par acchi command karna hogi. (Programming sikhiye Hindi me.)
  • Software testing : ek software engineering some years experience ke baad is field me move kar sakta hai.
  • Freelancer : ek Software kisi bhi company me kaam naa karke ghar baithe freelancer job bhi kar sakta hai jisme usko apne clients ke liye ghar baithe kaam karna hota hai.
  • Software development : Ek software ka main kary software banana hota hai. vah kisi company ya client ke liye software banakar deta hai jiske liye use acchi income prapt hoti hai.

[adinserter block=”12″]

हमारी यह पोस्ट भी पड़ें 

to dekha aapne “software engineer kaise bane” is post me ki software engineer kya hota hai or kaise bante hai hume ummid hai aapko yah post pasand aayegi. aap career se jude saval humse comment ke madhyam se puch sakte hai.