Teacher kaise bane

Teacher kaise bane : Agar aap education field me jana chahte hai ya teacher banna chahte ha to aap bilkul sahi artical pad rahe hai in this artical main aapko Teacher Banne se related jankari provide karne ja raha hun saath hee saath hum baat karenge B. Ed (Bachelor of Education) kya hota hai, TET, CTEC aadi ke baare me. I hope ye artical aapko jarur pasand aayega or aapke teacher banne ke sapne ko jarur pura karega.

Teacher yani sikshak ya guru (शिक्षक या गुरु ) ye baat to aap jante he honge ki hamare desh me guru ko bhagwan se bhi badkar mana jata hai shyad hum sabne bachpan me Kabirdas ji ka ye doha jarur pada hoga

[adinserter block=”11″]

  • Guru Govind dono khade kake lagu paay,

          Balihari Guru aapki Govind diyo batay.

  • गुरु गोविन्द दोउ खड़े काके लागु पाए ,

         बलिहारी गुरु आपकी गोविन्द दियो बताए |

 Yani hama guru ko bhagwan ke samtuly ya unse upar bhi mante hai kyoki guru he hai jo hume bhagwan tak jane ka rasta batata hai.

Teacher kaise bane

Chaliye ab hum baat karte hai ki teacher ki job ke liye kya karna padta hai jaisa ki mai upar bata chuka hu teacher banna ek apne aap me bahut proud wali baat hai, ek teacher ko jitni respect milti utni shyad he kisi profession me milti hogi. aaj ke samay me shiksha ka vyavsayikaran hota ja raha hai aise me teachers ko bhi ab pahle ki tarah kam salary me satisfy nahi hona padta hai unki salary bhi ab bahut acchi ho gai hai. to aapme bhi teacher banne ki quality hai agar aapko lagta hai ki aap bhi is field me aage badna chahte hai to der mat kijiye aaj he apna lakshy banaiye or aage badiye.

[adinserter block=”11″]

Education and qualification for Teaching Job

Ek teacher banne ke liye aapko koi special degree lene ki jarurat nahi hoti hai Jaise Engineer ke liye BE ya Doctor banne ke liye MBBS. aap teacher kabhi bhi ban sakte hai bas  uske liye aapko subjects jo aap padana chahte hai unki deep study karna hoti hai or saath hee saath any subjects me bhi aapka knowledge perfect hona chahiye.

Teacher kaise bane

[adinserter block=”13″]

Primary class teacher : Primary class me teacher ki job pane ke liye aap 10th ya 12th ke baad Diploma in Education (D. Ed.)  kar sakte hai jo ki 3 year ka hota hai or yah District Institute of Education and Training “DIET” se hota hai jo aapki district place par hota hai D.Ed karne ke baad aapko primary class me padane ke liye degree mil jati hai.

Teach in private school and get experience : Agar apni study puri hone ke baad ya study ke saath saath kisi private school me teacher ki job karte hai to vaha aapko accha khasa experience ho jata hai jiske baad aap kisi bade school me sirf apne experience ke dam par ek badiya salary par kaam kar sakte hai.

B.Ed kya hota hai full detail

B.Ed yahi Bachelor of Education (B.Ed.) yah ek degree course hai jo graduation ke baad kiya ja sakta yah 1 year ka hota hai jise aap kisi bhi subject me graduation karne ke baad kar sakte hain B. Ed karne ke baad aapko secondary or senior secondary schools me teaching karne ka mauka mil jata hai. aapko B ED ke liye entrance exam dena hoti hai Jaise TET teacher eligibility test Jo ki har state wise hoti hai. Iseke alava aap CTET exam hoti hai jo ki CBSE schools me padane ke liye aap de sakte hai.

To dekha aapne ki schools me padane ke liye kis tarah taiyari karna padti hai. humne yaha D.Ed B.Ed dono ki jankari prapt ki jo ki school me teacher banne ke liye hoti hai. agli post me hum college me professor banne ke liye konsi exam dena hoti hai is vishay par baat karenge jab tak aap hamari any post padte rahe. Teacher kaise bane.

[adinserter block=”12″]

हमारी यह पोस्ट भी पड़ें :

Teacher kaise bane yah post aapko kaise lagi hume comment ke madhyam se jarur bataye. agar koi question hai aake man me career se related to vo bhi aap comment ke madhyam se puch sakte hai hume uska javab dene me prashannta hogi. yah post pasand aaye to apne doston me share karna naa bhule.